Best Android tricks and tips

Android tricks and tips

Tuesday, 6 March 2018

ONE CLICK INSTAGRAM PHOTO AND VIDEO DOWNLOAD SAVE KAISE KARE

ONE CLICK INSTAGRAM PHOTO AND VIDEO DOWNLOAD SAVE KAISE KARE


Hello friends. I hope aap sab jante hai ki instagram kya hai or instagram ko kaise use karte hai. Agar nahi jante toh instagram ki app download kar lijiye or apna ek new instagram account create kar lijiye. Instagram download karne ke baad open karte hi aap samajh jaoge ki instagram ko use karna kitna aasan hai ! Instagram facebook ki tarah hi ek social website hai jise specialy photos and videos sharing ke liye banaya gaya tha. Aaj instagram itna popular ho gaya hai ki most of mobile phones me installed hi hota hai.One Click Instagram Photo And Video Download Save Kaise Kare
Instagram apne features and services ki vajah se popular hai but isme kuch facilitys ki kami bhi reh gayi hai. Jaise ki instagram app me video automatically play ho jata hai, Profile picture ko zoom ya save nahi kar sakte, Private account ko dekh nahi sakte Or sab se badi problem ki photos and videos ko download nahi kar sakte hai. Aksar hota kya hai ki jab ham instagram chala rahe hote hai tab kuch videos ya photos hame pasand aa jate hai jinhe ham apne mobile me save karna chahte hai but instagram me kisi bhi tarah ka saving option na hone ki vajah se video ya photo ko save nahi kar pate.

But don't worry friends, Aaj ham ek aise small application ke bare me batayege jise aap kisi bhi instagram photo ya video ko only one click se apne mobile me save kar sakte hai. App setup karne ke baad aap directly hi instagram se photo and videos ko download kar sakte hai. Photo download ho jane ke baad usse open kar ke zoom bhi kar sakte hai. So post ko aage padhte rahiye aaj aapka big question solve ho jayega.


Instagram Se Photo And Video Download Save Kaise Kare

Instagram se photo and videos save karne ke liye google playstore par bahut se android apps mil jayege but kuch apps work karte hai toh kuch apps work nahi karte isliye aaj me aapko sirf 1 hi application ke bare me batane wala hoon jo 100% work karta hai. App ko kaise use karna hai or photo kaise save karna hai yeh jane ke liye niche di hui step by step process ko follow kare.

STEP 1 : Download App
One Click Instagram Photo And Video Download Save Kaise Kare
  • Sab se pehle google play store se FastSave For Instagram app download kar lijiye.
  • App download karne ke baad app ko open kare Phir FastSave Service ko On kar dijiye.
  • Now Open Instagram par click kare.
STEP 2 : Download Insta Photo And Video
One Click Instagram Photo And Video Download Save Kaise Kare
  • Open Instagram par click karte hi Instagram app open ho jayega. Ab yaha par aap jis bhi photo ya video ko save karna chahte hai uske 3 dot option par click kare.
  • 3 Dots par click karne par 4 Optionsshow hoge usme se 2nd option Copy Linkpar click kare.
  • Ho Gaya Kaam ! Copy link par click karte hi selected photo ya video download hona start ho jayega.
STEP 3 : Check Your Downloads
One Click Instagram Photo And Video Download Save Kaise Kare
  • Download process ko app notification bar me dekh sakte hai. Ab download ho chuke video ya photo ko dekhne ke liye FastSave app ko open kare.
  • App open karne ke baad My Downloadspar click kare. Now yaha aapne jitne bhi photos and videos download kiye hue hai usse open kar ke dekh sakte hai.
  • Saved images and videos mobile gallery me bhi save ho chuke hoge. So aap vaha se bhi open kar ke dekh sakte hai.

So friends I hope you enjoy this post, Is tarah Aap is simple method se photo and video ko download kar sakte hai. Post acha laga ho toh facebook and other social sites par share zarur kare. And post me kuch bhi samajh na aaya ho ya kisi step me dikkat aa rahi hai toh comment se puch sakte hai. Milte hai apni next post mein tab tak Take Care !

Thankyou for visiting.

1 comment: