Best Android tricks and tips

Android tricks and tips

Monday 5 March 2018

ANDROID PHONE ME DELETED PHOTOS,VIDEOS,FILES,DATA,MESSAGES KO RECOVER KAISE KARE

ANDROID PHONE ME DELETED PHOTOS,VIDEOS,FILES,DATA,MESSAGES KO RECOVER KAISE KARE

Hello Friends,Aaj me yeh post apne ek reader ke kehne par likh raha hu.Thode din pehle hamari site pe ek daily reader ne hamse android mobile data recover ke bare me solution pucha tha lekin afsos ke us vaqt me unki koi help nahi kar paya tha.Par aaj ussi reader ki problem ke vajah se hazaaro logo ke problem solve ho jayegi.Android Phone Me Deleted Photos,Videos,Files,Data,Messages Ko Recover Kaise Kare
Ham apne android phone me Music,Videos,Important data files etc.ka use karte hai par kabhi kabhi hamari ek chosti si galti ki vajah se hamari kuch importants files ya data by mistake delete ho jate hai.Aisi situation me ham puri tarah se confuse ho jate hai ki ab aage kya kare or apne important data ko recover kaise kare.

Android phone se deleted hue data ko recover karne ke liye mobile ko pc se connect karna padta hai or kuch data recover softwares ka use karna padta hai.Main aapko yaha top data recover softwares se android mobile ke delete hue data ko recover karne ke bare me full details me samjhauga.


Jab ham pc me koi data ya file delete karte hai toh voh hame Recycle bin se vapas mil jati hai.Par android me aisa nai hota hai.Isliye mai aapko ek special or extra tips dena chahuga ki Agar aap chahte hai ki deleted mobile data aapko sirf one click se hi mil jaye toh abhi se apne phone me computer jaise Recycle Bin software download kar ke rakh lijiye taki aage chalkar koi data fir se delete ho toh aapko turant recycle bin mobile app se hi recovery mil jaye.


NOTE : Is post me aapke rooted mobile ki zarurat padegi.Matlab ki delete hue mobile data ko recover karne ke liye aapka phone rooted hoan chahiye.Isliye sab se pehle apne android phone ko One click safe root kar lijiye.CLICK HERE TO ROOT YOUR DEVICE ONE CLICK.


Potato Share Se Deleted Data Ko Recover Kaise Kare

  • Sab se pehle niche di hui link se apne pc me Data recovery software download kar lijiye.

  • DOWNLOAD HERE
  • Ab USB calbe se mobile or computer ko connect kar lijiye.Fir download kiye hue software ko open kare.
  • Ab software screen par android phone access show hoga.
  • Vaha aapko 2 tarike ke features show hoge.(1) Scan Call history,Messages,Cantacts. Or (2) Scan Photos,videos or other files.
  • Aapko jis bhi file ko vapas lani hai us option par click kare.Fir start par tap kare.
  • Ab ek scanning proccess start ho jayegi jisme thoda zyada time lag sakta hai data ko recover karne ke liye.
  • Process complete ho jane ke baad vaha ek Recover ka option hoga us par click kar kare or apna delete hua data vapas le lijiye.
  • Toh is tarah aap kisi bhi deleted files ko recover kar sakte hai.

I hope ki is post se aapka problem solve ho jayega.Agar nai hota toh bhi koi baat nahi aap apni samasya ko comment kar ke hame bata sakte hai.Is post ko social sites pe share jarur kare.Milte hai apni next post mein tab tak Take Care.

..........................................................Thanks For Reading....................................................

No comments:

Post a Comment