Best Android tricks and tips

Android tricks and tips

Thursday 8 February 2018

Gmail Me Kisi Bhi Mail Ko Block Kaise Kare

Gmail Me Kisi Bhi Mail Ko Block Kaise Kare

Hello Friends , Aaj Me Aapko Bataunga Gmail Me Kisi Bhi Mail Ko Block Kaise Kare. Aaj Ke Time Me Sabhi Ke Paas Ek Gmail Id To Hogi Hi. Gmail Id Ke Jariye Aap Ne Kisi Application Ya Website Me Signup Kiya Hi Hoga. Signup Ke Baad Site Dvara Kai Prakar Ke Mail Aate Rehte He.


Khas Kar Aisi Website Jo Earning , Deals , Discount Related Site Hoti He Uspe Signup Karte He. Iske Baad Daily Site Promotion Ke Liye Kai Mail Aate Rehte he. Yadi Aap Isse Bachna Chahte he To Ye Post Aap Ke Liye He. isliye Is Post To End Tak Read Karna. Chaliye Jante He Gmail Me Kisi Bhi Mail Ko Block Kaise Kare.



Gmail Me Kisi Bhi Mail Ko Block Kaise Kare :

          Gmail Me Mail Ko Block Karna Bhot Hi Aasan He. Aap Hamare Step Follow Kare Aur Gmail Me Mail Ko Block Kare Jiski Aapko Jaroorat Nahi He.
#1. Aap Sabse Pehle Playstore Par Jaye Aur  " Gmail " App Download Kare.
#2. Gmail App Download Ho Jane Ke Baad app Open Kare aur gmail id se connect kare.

#3. gmail id connect ho jane ke baad aap gmail all mail page par aa jayega yaha aapko sabhi mail show hoge.
#4.ab gmail me jis mail ko block karna chahte he us mail ko open karle.
#5.mail ko open karne baad aapko reply aur 3 dot ka option show ho raha hoga. ab aapko 3 dot par click karna he ( yadi aapko samaj na pade to niche diye image ko follow kare.


#6. 3 dot par click karne baad aapke samne option show hoge.
* reply all
* forword
* add star
* print
* block ( site name )
yaha par aap ko last option  block ( site name ) par click karna he.


done ! aapke gmail   mail block ho chuka he.
is step ko follow karke kisi bhi mail ko block kar sakte he aur Next  Jo aanewale mail ko block kar sakte he. aur binjaroori mail se chhutkara paa sakte he.
Gmail Me Kisi Bhi Mail Ko Block Kaise Kare post kaisi lagi hame comment karke bataye.

No comments:

Post a Comment