Best Android tricks and tips

Android tricks and tips

Tuesday 6 March 2018

BLACKLIST SE NUMBER KAISE NIKALE AUR BLOCK NUMBER KO UNBLOCK KAISE KARE

BLACKLIST SE NUMBER KAISE NIKALE AUR BLOCK NUMBER KO UNBLOCK KAISE KARE

Hello friends, Aaj sab ke paas mobile phones hai jise bahut kuch kiya ja sakta hai.Is chote device ko specialy calling purpose ke liye banaya gaya tha but aaj isme calling and messanging ke saath lots of features available hai.Or issi tarah ek feature phone ab smartphone tak pahuch chuka hai.Feature phone ho ya smartphone lekin jab koi unknown person ya koi bhi aapko baar baar call kar ke pareshan karta hai toh sabhi phones me ek feature hai jise aap pareshan karne wale number ko block kar sakte hai.Woh hai Blackilist !Blacklist Se Number Kaise Nikale Aur Block Number Ko Unblock Kaise Kare
Agar ek baar kisi person ko aap Blacklist numbers me daal dete hai toh uske baad woh aapko call or messages nahi kar sakta hai.Agar aap kisi ko blacklist me daalna chahte hai toh yeh bahut hi simple hai jo sabko aata hoga agar nahi aata toh koi baat nahi ham aaj aapko sab kuch sikhane wale hai.Kaise kisi number ko block karte hai or kaise kisi number ko unblock kar sakte hai.Post ke last me yeh bhi janege ki agar samne wale ne aapke number ko block kar rakha hai toh usse call kaise kar sakte hai.

Dosto me guarantee ke saath kehta hoon ki aaj ka yeh post bahut hi mazedaar honewala hai or yeh aapke liye helpful bhi rahega.So post ko dhyaan se padhna or post pasand aaye toh usse social sites par share zarur karna.Hamara first topic hai ki Mobile number block aur unblock kaise kare.


Mobile Number Block Aur Unblock Kaise Kare

  • How to block mobile number ? How to unblock mobile number ? Friends,Kisi ka mobile number block karna bahut hi simple hai.Number block karne ke liye aap call log me jaye.Fir jis number ko block karna hai us par long press kar ke options open kijiye.Usme se Add To Blacklist par click kar dijiye.Bas itna karte hi woh banda aapko message ya call nahi kar payega.
  • Ab kuch logo ki samasya hai ki " hamare phone me toh blacklist ka option hi nai aata hai so ham kisi ko block kaise kare ? " Toh dosto iske liye bahut saari android applications available hai but jo sab se best and trusted app TrueCaller hai.Isliye me aapko Truecaller app download karne ke liye suggest karuga.
  • Me janta hoon ki most of users ke paas truecaller pehle se hi installed hoga.Agar nahi hai toh abhi playstore par jaye or Truecaller ko install kar lijiye.
Blacklist Se Number Kaise Nikale Aur Block Number Ko Unblock Kaise Kare
  • Ab Truecaller app ko open kare or jis bhi number ko block karna chahte hai us number pe click kare.Click karte hi aapke samne 4 options show hoge.Usme se last option BLOCK par click kare.
  • Ho gaya aapka kaam ! Block button par click karte hi banda Block ho jayega.Or 4th option me Red colour ka UNBLOCK likha aa jayega.Ab aap jab chahe tab us UNBLOCK button par click kar ke us bande ko Unblock kar sakte hai.
  • So i hope ke aapne perfectly sikh liya hai ki kaise number ya call ko block or unblock karte hai.It's very simple par fir bhi aapko koi dikkat aati hai toh hame comment se bata kar sakte hai.

Blacklist Se Number Kaise Nikale

How to remove number from blacklist ? Friends agar kisi ne aapko block kiya hai toh aap chah kar bhi unblock nahi ho sakte.Par niraash hone ki jarurat nahi hai.Kyu ki kuch raste aise hai jo jinse jugaad kar ke aapki problem solve ho sakti hai.Ab ham jo karne wale hai woh 100% working method hai.Isse aap aasani se apni ruthi hui girlfriend ya aapko block karne wale kisi bhi person ko call kar sakte hai.Woh bhi bina apna number dikahye.So now step by step process follow kare.

STEP 1 : Start App & Sign Up
  • Sab se pehle aapko ek app download karna hai jiska naam hai Text Me ! Yeh ek bahut hi badhiya app hai jise miliones of people ne download kiya hai and iski rating 4.2 hai.Click Here To Download !
Blacklist Se Number Kaise Nikale Aur Block Number Ko Unblock Kaise Kare

  • App ko download karne ke baad open kare.Fir 3-4 page ko swipe kar lijiye and last wale page par Get Started likha hoga vaha click kare.
Blacklist Se Number Kaise Nikale Aur Block Number Ko Unblock Kaise Kare
  • Ab aapko Sign Up karna hai.Sign Up ke liye 3 options diye jayege aapko jo bhi acha lage uspar click kar ke Sign Up process complete kar lijiye.
STEP 2 : Get A New Mobile Number
Blacklist Se Number Kaise Nikale Aur Block Number Ko Unblock Kaise Kare
  • Ab aapko app ka interface show hoga jisme upar ki taraf 10 Credit show rahe hoge.Iska matlab yeh hai ki aap 10 minute tak call kar sakte hai.Agar 10 minute se jyada call karne hai toh Plan Buy karna padega.But don't worry without plan buy kiye free me aap Unlimited call kar sakte hai.Kaise karna hai woh aage batata hoon.
Blacklist Se Number Kaise Nikale Aur Block Number Ko Unblock Kaise Kare
  • Ab Numbers button par click kare.Phir Get a 1st Phone Number par click kare.Itna karte hi aapke samne alag-alag countrys ki list show hogi.Aap jis bhi country ka number use karna chahte hai us par click kare.
Blacklist Se Number Kaise Nikale Aur Block Number Ko Unblock Kaise Kare
  • For example maine yaha USA par click kiya hai.So mujhe yaha USA ki citys show ho rahi hai.Ab yaha aap Randomly,Nearbuy ya Niche di hui kisi bhi city ka number use kar sakte hai.Maine yaha Random Number use kiya hai.
STEP 3 : Call To Anyone
Blacklist Se Number Kaise Nikale Aur Block Number Ko Unblock Kaise Kare
  • Number select karne ke baad aapko ek timer diya jayega.Yeh timer 15 minute tak ka hota hai yaani ki aapko 15 minutes me call karne hai.Or saath hi me Plan Buy karne ke liye bhi kaha jayega.But aapko koi plan buy karne ki jarurat nahi hai because ham sab kuch free me complete karne wale hai.
Blacklist Se Number Kaise Nikale Aur Block Number Ko Unblock Kaise Kare
  • So ab 3-4 baar back daba kar Homepage par aa jaiye.Or phir Contacts par click kare.Yaha aapko apne contact ki puri Phonebook show hogi.Yaha se aapko jisne bhi block kiya hai usse aap call kar sakte hai.
  • For example yaha par mere friend Ronak ne mujhe block kiya hai.So ab me Ronak par click kar ke usse call karuga.Or mera call Ronak se connect ho jayega.So dosto iss tarah abhi aap 10 minute tak baat kar sakte hai.Kyu ki aapke account me 10 Credits hai.Ab agar aap jyada baat karna chahte hai toh credit badhane padege.
STEP 4 : Earn Free Credits
Blacklist Se Number Kaise Nikale Aur Block Number Ko Unblock Kaise Kare
  • Credit badhane ke liye simply aapko Credits par click karna hai.Yaha aapko 2 options show hoge Buy & Free ! Hame kuch bhi Buy nahi karna isliye Free par click kare.
  • Free par click karte hi kuch little tasks show hoge.Jinhe complete karne par aapko Credit diya jayega.So is tarah aap Credit badha kar unlimited calls kar sakte hai.

Friends,Yeh ek 100% working method hai.Agar kisi step me aapko kuch samajh na aaya ho ya phir koi or dikkat aa rahi hai toh hame comment section se bata sakte hai.So enjoy kare kyu ki ab koi bhi aapko block kar le lekin aap usse call kar paoge.Milte hai apni next post mein tab tak Take Care !

Thankyou for Visiting.

No comments:

Post a Comment