Online Net Banking Security (Safety) Tips In Hindi - [100% Secure] Jab Se Online
Hello friends, Banking Subidhaye Paisa Len Den Karne Ke Liye Provide Kiya Hai, Tab Se Har Ek Person Ka Har Ek Online Kam Me Asan Ho Gaye Hai. Online Banking Jisse Net Banking Ya Internet Banking Bhi Kahte Hai. Jiske Madad Se Ham Kahi Bhi Office, College, School, Anywhere Ham Apke Smartphone Ya Computer Me Internet Connection Karke Ghar Baithe Baithe Bank Ki All Services (Feature Ka Fayda (Advantage) Le Sakte Hai.
Matlab Aap Chahe Toh Money Transfer, Shopping, DTH, Mobile Recharge, Ya Other Kisi Tarah Ki Payments Jo Bank Me Jake Karni Hoti Hai Woh Ham Ghar Baithe Kar Sakte.
Badhti Hui Technology Ke Jamane Me Net Banking Ka Disadvantage (Nuksan) Bhi Bhut Hote Jaa Rahe Hai. Matlab Apko Koy Bhi Dhoka Deke Apke Account Ke Sare Paise Udha Sakte Hai.
Friends Agar Aap Online Net Banking Karte Hai Toh Aap Is Post Ko End Tak Carefully Read Karte Rahe. Net Banking Top 5 Security Tips Diye Gaye Hai Jisko Agar Aap Follow Karenge Toh Aap 100% Secure Me Rahenge Matlab Koy Bhi Hackers Apke Bank Account Password Hack Nhi Kar Sakta Hai. Toh Chale Jante Hai - Top 5 Best Safe Online Net Banking Tips In Hindi:
Top 5 Online Internet Banking Security (Safely) Tips:
Niche Diye Gaye Top 5 Security Tips Ko Agar Aap Palan Karenge To 100% Sure Hai, Apke Net Banking Safe Rahenge Jisse Koy Bhi Hackers Ko Chance Hi Nahi Milenge Apke Account Me Hath Laga Ne Ka Uske Liye Point By Point Carefully Post Ko Read Kare:
#1. Strong Password Rakhe:
Ye Sabse Important Hai Agar Aap High-Quality Ka Password Online Banking Me Use Karenge Toh Aap 80% Hackers Se Bach Jayenge. Strong Password Kaise Rakhe? Uske Liye Niche Ki step Follow Kare:
Step-1 Strong Password Rakhne Ke Liye Sabse Pehle Apko At least 8 Akshar Rakhna Hoga.
Step-2 Jisme Small, Capital Letter, Numbers, And Special Character Ka Use Karna Hoga. Like- " SolutionIN89@ "
Note: Galti Se Bhi Kabhi Personal Same Password Na Rakhe Jaise - Name, Mobile Number, Address PIN Code Etc. Kyu Ki Hackers Kisi Ke Data Hack Karne Ke Liye Sabse Pehle Ye Sab Information Try Karte Hai.
#2. Hamesha Virtual Keyboard Ka Use Kare:
Jab Bhi Apko Banking Karni Hai Ye Baat Ko Hamesha Yaad Rakhe Ke Virtual Keyboard Ka Hi Use Kare. Agar Apke Personal Computer/Laptop Ho Toh Bhi Iska Use Kare, Kyu Ki Bhut Sare Ayse Hackers Hai Jo Free Me Software Dene Ki Chakker Me Apko Hacking Tools De Dete Hai Or Aap Usko Apke PC Me Install bhi Kar Lete Hai. So Jab Bhi Aap Log In Karne Ke Liye Username Or Password Dalenge Same Copy Us Hackers Ke Pass Chala Jayega. So Very Carefully Log In Kare.
#3. Computer/PC Me Paid Security Antivirus Install Rakhe:
Friends Agar Aap Free Ke Antivirus Use Kar Rahe Hai Toh Abhi Usko Delete (Uninstall) Kare, Jee-Han Dosto Isse Bhi Bhut Khatra Ho Sakta Hai Apke Net Banking Ke Liye. So Hamesha Paid Antivirus Install Karke Rakhe Kyu Ki Paid Wale Security Antivirus Apke Computer Ki Sare Activities Me Nazar Rakhte Hai, Like - Internet Virus Ya Software Malware Jaise Virus Ko Detect Karte Hai Or Apke PC Ko Safe Rakhte Hai. Quick Heal Antivirus Ya K7 Total Security Antivirus Ko Apne Computer/Laptop Me Hamesha Install Rakhe.
#4. Computer Se Cache Clear Kare:
Jab Bhi Aap Kisi Cafe Me Ya Apke Hi Computer Se Net Banking Karenge, Log Out Karne Ke Baad Computer Se Turant Cache Clear Kare, Kyu Ki Aap Jo Kuch Kye Hai Woh Browser Me Save Ho Chuki Hai. So Kabhi Bhi Iss Option Na Bhule. Hackers Cache Ki Madad Se Bhi Apke Bank Account Ko Hack Kar Sakte Hai.
#5. Mobile/Email Notification Option Enable Kare:
Ye Features Apko Bank Se Iss Liye Diye Gaye Hai, Taki Apke Account Se Transaction Hone Baad Turant Apko Khabar Honi Chahiye. Agar Apke Mobile No Ya Email Id Registration Nhi Kya Hua Hai Toh Jarur Karle, Isse Transaction Par Up-To-Date Nazar Rakh Sakte Hai. Agar Koy Bhi Transaction Apke Anumati Ke Begair Hua, Jaise Hi Apko Message Milenge Turant Bank Me Inform Kar Sakte Hai.
Final Word:
Agar Aap Upper Diye Gaye Top 5 Online Net Banking Security Safety Tips Ko Sahi Se Follow Karenge To I Am Sure Apke Bank Account 100% Secure Rahenge. Our Haan Kabi Bhi Apke Code Kisi Ke Sath Sare Na Kare, Agar Apko Koy Phone Karke Bole Me Bank Se Bol Raha Hu Toh Bhi Apke Personal Information Kisi Bhi Halat Me Na De.
I Hope Apko Ye Post Accha Laga Hoga, So Friends Agar Apko Ye Article Kam Ka Laga Toh Apke Ander Tak Maat Rakho Share Karo WhatsApp & Facebook And Other Social Media Par, Un Logo Ke Sath Jisko Ye Tips Ki Jarurat Ho.
Thankyou.
Thankyou.
No comments:
Post a Comment