HarD Disk Ki Problem “Disk Is Not Formatted” Ko Solve Kaise Kare
Hello friends, , agar aapki Hard Disk ki Problem" Disk is Not Formatted" ko solve kaise kare to yeh blog aapki madad karega.
Computer chlate hai to hame kai sari problem ko face karna padta hai. Jab hamse vo problem solve nahi hoti hai to hum apna computer lekar direct computer repair ki shop par jate hai or kai bar chote se kam ke vo 200-300 rupyee le leta hai.
Kuch problem itni choti hoti hai ki use hum ghar baithe badi hi aasani se solve kar sakte hai or apne paise bacha skate hai.
Aesi hi ek problem hai hard disk ki, Kai baar aesa hota hai ki jab bhi hum kisi local disk jaise C, D, E ko open karne ki koshish karte hai to vah open naa hokar “disk is not formatted” ka message dikha deti hai.
Niche diye gaye image me aap is problem ko dekh sakte hai. Aayiye jaante hai is problem ko solve karne ki trick ke bare me.
How To Solve Hard Disk Problem
STEP1. Sabse pahle Windows + R dabaye Run dialog box open hoga isme aap CMD type kare or enter kare.
STEP2. Ab aapke samne Command Prompt open hoga isme aap chkdsk/f/x D: type kare or enter kare. Yaha aapko D drive ki jagah us drvie ka letter type karna hai jisme yeh problem show ho rahi hai. Enter dabane ke bad kuch processing chalegi or aapki drive ko check karke problem ko solve kar diya jayega.
STEP3. Iske bad ek bar apne computer ko restart kar de or fir apne drive ko open kare vo aasani se open ho jayegi.
Is tarah aap badi aasani se hard disk ki problem ko solve kar sakte hai. Hamare sath jude rahiye hum aapko aage bhi aesi kai tricks ke bare me batate rahenge jisse aap computer ke bare me or jyada jaan payenge. Agar aapko yeh post acchi lagi ho to ise share kare or comment kare.
Thankyou.
RELATED POSTS:-
No comments:
Post a Comment