Best Android tricks and tips

Android tricks and tips

Friday 9 February 2018

Computer Par Hard Disk Driver Ko Hide Kaise Kare

Computer Par Hard Disk Driver Ko Hide Kaise Kare


Hello friends, Windows world ka sabse popular Operating System hai ye to ham sabhi jante hai, aur abhi har computer par Windows hi istemal hota hai. Dosto agar aap aapne computer par Windows 7, 8 ya phir 10 istemal karte hai to aajke iss post ko follow karke asani se aapne computer ke drive ko hide kar sakoge. Computer drive konsa hai aagar aapko nahi pata hai to main bata deta hu, dosto aap My Computer par jaye aapko Hard Disk Drive dekhne ko mil jayega. Aagar aapke kisi drive par kuch personal files, video etc hai aur aap chahte hai uss drive koi aur na dekh paye to aap iss post ko follow karke aapne Drive ko hide kar sakte hai.

Drive hide karna bahut easy hai, aap Software use karke kar sakte hai, yafir Software ke bhi kar sakte hai. Aajke iss post me main aap logo ke sath Software and bina Software ke kaise hide karte hai wo share karunga. Too dosto chaliye dekhte hai.

Windows Computer Ke Hard Drive Hide Kaise Kare ?

Dosto niche main aap logo ke sath do method share kiya hai ek koi bhi software istemal na karke aur ek software use karke.


Method - 1 Without Software :


Step 1. Pehle aap aapne My computer par visit kare aagar aap windows 10 user hai to aap This PC open kare, uske bad aap jiss Drive ko hide karna chahate ho uss drive ke name ko thik se check kare.

Step 2. Abhi aap My computer yafir This PC par aapne mouse ke right click kare, uske bad " Manage" option par click kare.



Step 3. Aab ek box khulega isme se aapko "Disk Management" par click karna hai, uske bad aap jis Drive ko hide karna chahate hai uss drive ke upar mouse ke right click karke "Change Drive Letter and paths" option par click kare.

Step 4. Upar ki option par click karne ke bad ek box khulega usme se aapko Just "Remove" par click karna hai uske bad OK kare.



Upar remove button par click karte hi aapke Drive hide jayega, dosto isi traha aap aapne computer ke kisi bhi drive ko bina software use karke hide kar sakte ho.


Unhide Kaise Kare : Aagar aapko Hide drive ko firse dekhna hai too aap kaise unhide karoge? Unhide karne ke liye aap upar ke same tips follow kare, sirf step 4 me remove kara tha abhi uss option me aapko left side se "Add..." button par click karna hai.

Method - 2 Software Use Karke

Upar jo tips main aap logo ke sath share kiya hai uske liye aapko kisi bhi software ki jarurat nahi hoga, lekin aagar aap software use karke Drive ko hide karna chahate hai to niche ki step ko follow kare.

Step 1. Pahle aap iss link se Drive hide software ko download kare, download karne ke bad aapne computer ya laptop par software ko install kare.


Step 2. Install karne ke baad aap software ko open kare, ye full free software hai iske liye koi use karne me koi problem nahi hoga. Software ko open karne ke bad aap jiss drive ko hide karna chahate hai uss par click kare, uske bad niche right side se "Hide Drive" par click kare.




Step 3. Upar Hide drive par click karne ke baad Computer ko restart kare, restart karne ke bad check kare aapne jiss drive ko hide kiya tha wo hide ho chuka hai.


Unhide kaise kare : Aagar aapko firse hide drive ko unhide karna hai too aap firse software ko open kare uske ke Unhide Drive par click kare aapke drive unhide ho jayega.

Friends upar main aap logo ke sath Hard Disk Drive hide karne ka doo method share kiya sayed aapko dono pasand ayahoga, aagar aapko post ko smajne mai kok dikkat lge to comment kare aur accha laga hai too please post ko aapne dosto ke sath share kare.

Thankyou.

No comments:

Post a Comment