Best Android tricks and tips

Android tricks and tips

Tuesday, 6 February 2018

Bitcoin kya hai? Bitcoin se paise kaise kamaye

What is bitcoin, Bitcoin kya hai?


 Hello friends aajke is post me main bat karenge bitcoin ko lekar. Aagar aap internet use karte hai to aap jarur bitcoin ke bareme sunga hoga, aagar aap internet na bhi use karte to bhi aap news paper ya kisi friends ko bolte sunga hoga bitcoin ke bareme. Ha dosto aabhi bitcoin ek aisa naam hai jo har kisi ko janna hai ye hota kya hai aur isse paise kaise earn kiya jata hai. Aagar aap aapke man me bhi sawal hai bitcoin kya hai? to aajke is post ko full read karke aap jan skate hai bitcoin ke bareme bistarme. Bitcoin kafi saal se online market me chal raha hai lekin itna popular aajke date se pahle nahi tha, aabhi ye bahut popular ho chuka hai aur iske bareme har koi janna chahate hai. to chaliye jante hai bitcoin kya hai aur isse paise kaise kamate hai.

Bitcoin Kya Hai ?



Dekhiye Bitcoin ek Cryptocurrency yani ki ek Digital Currency hai, isko india jaise koi desh control nahi karta hai, ye puri world ka digital currency hai. Bitcoin ek aise currency hai jisko aap dekh nahi skate, chu nahi sakte, mehesus nahi kar sakte just isko aap aapne online wallet par store karke rakh sakte ho. India ka jaise rupee hota hai, U.S ka dollar hota hai usi traha bitcoin bhi ek currency hai lekin isko koi desh control nahi karta hai. aap online ke madad se bitcoin earning kar skate hai, bitcoin buy bhi kar sakte hai aur usko bad me sell bhi sakte hai.

Aabhi bitcoin ka kimat itna jada hai ki har koi bitcoin buy karna chahate hai bitcoin earn karna chahate hai. Aajse karbi 8-9 saal pahle jab ye bitcoin online market me aya tha tab iska price bahut kam tha jaise ki pahle iska kimat hota tha 1 bitcoin = 1$ se bhi kam aur 1 bitcoin = 60 rupee se bhi kam. lekin aajke date me 1 bitcoin = 18965$ hai, aur india k hisab se 1 bitcoin = karib 12 lak rupee se jada rupee hai. 1 rupee ke 100 paise hote hai vaise hi 1 bitcoin me 100,000,000 satoshi hote hai. Bitcoin ek Open Source hai isi liye isko koi sarkar control nahi karta hai aur isi liye iska koi bhi kisi bhi kam ke liye istmal kar sakta hai.

Bitcoin Kab aur Kisne Banaya Tha ?



Bitcoin bana tha 3 January 2009 aaj se karib 8-9 saal pahle, aur isko banaya tha "Satoshi Nakamoto" naam ka ek admi ne. Lekin ye 100% conform nahi hai ki Satoshi Nakamoto koi admi hai ya koi programme hai ya koi puri ek team hai. aabhi tak is "Satoshi Nakamoto" ko kisi ne nahi dekha hai, aagar aap google par is naam ko search karte hai to aapko face to dekhne ko mil jayega lekin wohi hai "Satoshi Nakamoto" wo aap conform ho kar nahi bata sakte.


Bitcoin Earning Kaise Kare ?



Aagar aapko bitcoin earn karna hai to sabse accha hai aap bitcoin ko buy kare aur sell kare, kyuki aabhi bitcoin price itna teji se upar ja raha hai ki aap aagar aajke date me kuch bitcoin buy karte ho to sayed 1, 2 din me aapko kafi profit ho sakta hai, lekin soch samaj kar bitcoin buy kare, kyuki ye aabhi upar ja raha hai ho skata hai kuch hi time me iska price down ho jayega, isi liye aapko bitcoin ko samaj na hoga aur kam se kam rupee isme invest karna hoga.

Bitcoin earn karne ke aur bhi kafi way hai jaise ki Bitcoin Mining karke bhi aap earn kar sakte hai lekin ye kafi taf hai kyuki pahle aapko Bitcoin Mining karna sikhna hoga janna hoga. mere mane to aabhi bitcoin se profit karne ka sabse accha way hai aap bitcoin buy kare jab iska price bahut jada ho jaye to usko sell kare, aabhi india me jada log isi traha kam karke bahut paise kama raha hai.


Bitcoin Kitna Safe Hai ?



Dekhiye main pahle hi bata chuka hu ye koi sarkari currency nahi hai lekin ye kafi had tak safe hai, isko koi hacker asani se hack nahi kar sakta. jab aap kisi website ke madam se bitcoin buy karte hai aagar wo site hack na ho to aapke bitcoin safe hai. aap jab bitcoin buy karte hai to dekh lijiye jaha se buy kar rahe ho wo sahi hai ya nahi. aur ek baat ye to tha hack hone aur na hone ka sawal, aagar aapke manme sawal hai ki ye sarkar ke najar me sahi currency hai ya nahi! dekhiye "Reserve Bank of India" na saf tor se logo ko bata diya hai ye koi indian currency nahi hai to aap log isko buy mat kare isme loss bhi ho sakta hai, aabhi baki aapke upar hai aap bitcoin buy karoge ya nahi karoge.



Bitcoin Ko Control Kon Karta Hai ?



Kafi logo ke man me ye sawal ata hai ki bitcoin to ek currency hai to isko control to koi jarur karta hoga, sayed isko control karna hai jisne isko banaya hai! nahi dosto bitcoin ek aise currency hai jisko koibhi control nahi karta hai koi nahi isko jisne banaya hai Satoshi Nakamoto khud ye bhi isko control nahi karta hai, ye peer to peer kam karta hai.


Bitcoin Buy & Sell Kaha Se Kare ?



Bitcoin buy aur sell karne ke liye online par aabhi bahut se website hai bahut se android app hai, lekin india me sabse popular aur varasa man hai "zebpay.com" aap is website par jakar bitcoin buy kar sakte hai aur sell bhi kar sakte hai. aagar aap mobile use karte hai to iska app bhi aapko google play par miega aap install karke buy sell kar sakte hai. zebpay.com ke upar youtube par aapko bahut sare video milega aap usko dekh kar buy sell kaise karte hai wo jan sakte hai.

Ummid karte hai is post se aapko pata chal gaya hoga ki bitcoin hota kya hai, aur isko buy sell kaise karte hai, isko kisne banaya kon tha. main internet se jitna jaan paya wohi aap logo ke sath post ke jariye share kiya hai aagar is post me kuch galat hai to aap comment karke bata skate hai, kyuki galti insan se hi hoti hai.


No comments:

Post a Comment