Best Android tricks and tips

Android tricks and tips

Wednesday, 7 March 2018

Story Of Baloon

Story Of Baloon:-




Hello friends mai Vishal Rawat aaj apke liye Robin Sharma ki story "Story Of Baloon" bta rha hu.

ek aadmi mele mai ballon bech kar gujara karta tha. uske pass lal, nele, pele, hare, aur iske alava kayi rango kai baloon the. jab uski bikri kam hone lagti to wah hilium gas se bhare ek gubbara hawa mai uda deta. bacche jab us udte gubbare ko dekhte, to waise hi gubbara pane ko aatur ho jate . we uske pass gubbare kharedne kai liye pahuch jate, aur us aadmi ki bikri fir badne lagti. Us aadminki bikri jab bhi Kam hoti, Wah use bhadane Kai liye gubbare udane ka tarika apnata. ek din gubbare wale ko mehsos hua ki koi uski jacket ko keech rha hai. usne palat kai dekha to wha ek baccha khada tha. bacche ne pucha "agar aap hawa mai kisi kale gubbarr ko chodo, to kya woh bhi udega?" bacche kai is sawal ne gubbare wale kai man ko cho liya. bacche ki aur mud kar usne jawab diya ,"bete, gubbare apne rang ki wajah se nhi, balki uske andar bhari cheej ki wajah se udta hai".

         hamari jindagi mai bhi yahi asul lagu hota hai. aham cheej hamari andruni shakshiyat hai. hamari andruni shakshiyat ki wajah se hamara jo najariya banta hai.b wah hme upar uthata hai. "Harvard university" kai (William James) ka kehna hai, hamari pidi ki sabse badi khoj yeh hai ki insan apna najariya badal kar apni jindagi ko behtar bna skta hai.


Aasha karta hu aapko ye story "Story Of Ballon"
Pasand ayi hogi. Agar aapko pasand ayi to neeche comment karke bataye aur apne friends kai sath bhi share kare.

Thankyou for visiting.

No comments:

Post a Comment