Best Android tricks and tips

Android tricks and tips

Sunday, 11 March 2018

How To Use Airdrop in Iphone

How To Use Airdrop in Iphone:-


Hello friends mai Vishal Rawat aaj mai aapko batane ja rha hu "How to Use Airdrop In Iphone"

Aaj data sabse kimti hai, par har data ko hamesha sath nhi rakh ja skta. Kyuki aap alag alag tarah kai device use karte hai, to ese mai kuch data aapke phone mai hota hai, to kuvh aapke pc mai. Yahi wajah hai ki aksar cable, wifi ya fir mail kai jariye se data transfer karte hai. Android phone kai liye to bahut app hai, jise aap playstore se download kar skte ho. lekin aapke pass yadi iphone ya apple ka device hai, to fir aapko koi dusra aap fownload karne ki jarurat nHi hai. Apple device mai data transfer aur bhi asan hai . Aap asani se data ek mobile se dusre mobile, mobile se makebook aur makebook se makebook mai transfer kar skte hai. Apple device mai is feature ka name hai Airdrop. Airdrop kai jariye se apple se apple device mai data tranfer surakshit nhi hai. Aaiye jante hai kaise Airdrop ka use karte hai.

Iphone se Iphone Data Transfer

Yadi Iphone se Iphone mai data transfer karna cahate ho to sabse phele jis phone mai data bhejna hai, usne airdrop on kare.

  • Yeh option aapko setting mai jakar general kai andar milega. 



  • Yaha three option milenge, receiving off, connect only aur everyone. Aap everyone select kare. 



  • Ab jis phone se data send karna hai, usme jaye aur par press kar share ka option select kare. Aapko sabse uper hi Airdrop ka option milega, use click kar de.


 Iske sath hi aapke phone mai airdrop on ho jayega aur wah device find kar lega. Us device ko select karte hi data dusre phone mai chla jayega. Dusre phone mai aapko sirf select karna hai.

Iphone Se Makebook

Yadi aap aap iphone se makebook mai data transfer karna cahate hai, to phele makebook mai Airdrop ko on kar de. Iske liye aapko finder mai jana hai. Yahi left side mai airdrop ka option milega. Us par click kar de, wah on ho jayega. Ab aap Iphone mai file par jakar share par click kar Airdrop kar skte hai. Pc se bas aapko file accept karni hai.

Makebook to Makeboook file Transfer

Yadi aap makebook se makebook mai file transfer kar rhe hai to yeh bhi asan hai. Bluetooth on hone ki sath hi ye on ho jata hai. Aamtoor par log makebook mai airdrop ko on hi rakhte hai. Isme bhi aapko setting mai jakar everyone karna hai. Aab jis file ko transfer karna cahate ho, us par control keys kai sath right click kare. Yadi mouse ka use kar rhe ho, to mouse kai right click se kam ho jayega. Aap us par click kare. Iske sath hi un makebook ya iphone ki list a jayegi, jisme Airdrop on hai. Aapko us device par clivk karna hai. Makebook user jaise hi accept karega, data transfer suru ho jayega

I Hope ye Post aapko accha lga hota agar aapko kaHi pe problem ho to necche comment kare mai aapke problem solve karunga. Agar aapko ye post accha laga to apne friends kai sath jarur share kare.

Thankyou.

No comments:

Post a Comment