Best Android tricks and tips

Android tricks and tips

Saturday 10 February 2018

SOLVE PROBLEM OF NOUGAT ANDROID

SOLVE PROBLEM OF NOUGAT ANDROID

Hello friend , aapko pta hai Android operating system 7.0 nougat ko launch hue karib ek sall se jyada ho gya hai. iska update version 8.0 oreo bhi a chuka hai lekin oreo user abhi bhi kam hai, jabki nougat ka use ab saste phone mai use hone lga hai. is OS ka use karne wale user isse jude kuch samasya ki batt karte hai. aaiye aapko btatae hai nougat se judi kuch samasyo ko.
                       

                

             READ WHAT'S APP DELETE MESSAGE

            

            Paytm Debit Card / ATM Card Kaise Banaye

AAP INSTALATION PROBLEM

yadi android operating system 7.0 nougat ka use kar rhe ho aur phone mai app installation ki samasya a rhi hai, to pareshan hone ki jarurat nhi hai. sabse phele phone ko puri tarah se charge kar le. uske baad ek barr wifi ko disable kar fir se use connect kare ir update kare. isse samasya ka samadhan ho jayega. OS install hone mai thoda samay lag skta hai, kyoki yeh cache file ko delete kar install hota hai. halaki kayi barr cache file ki wajah se OS install nui ho pata. ese mai sabse phele phone ko recovery modE mai dale. iske liye phone ko off kare or fir volume up aur power button ko press kare. thodi der mai hi manufacture logo dikhai dega. iske sath hi phone recovery mode mai chla jayega. yha touchscreen kam nhi karega. ese mai volume up or down button ka upyog kar wipe cache tak jaye aur fir power button press kar cache clear kare. ab phone ko restart kare ya update kare. aapka kam ho jayega.
BATTERY JALDI KHATAM HONA

android nougat phele se kafi advance ho gya hai, lekin isse battery ki samasya kam nhi hui hai. halaki goggle ne doge feature ko launch kiya hai, jo battery ki bacaht karne kai liye hi hai, lekin fir bhi kayi logo ko battery ki samasya hoti hai. yeh samasya OS ki nhi hai, app cache aur system cache ki hai. ese mai sabse phele phone se app cache aur system cache ko delete kar de. app cache delete karne kai liye aapko app mai jna hoga ya fir factory reset karke pura data delete kar skte hai.

BAAR BAAR REBOOT HONA

Yah samasya us phone mai dekhne ko mil rhi hai, jisme android operating system 6.0 marshmallow se android 7.0 nougat par phine ko update kiya hai. phone achanak se reboot ho jata hai. yeh kabhi bhi ho skta hai. aap internet chla rhe ho ya camera phone khud se hi reboot ho jaye. yeh samasya boot loop ki wajah se hoti hai. ese mai phone ko ek baar restart kar de, to behtar hai. itna hi nhi, yafi phone ko factory reset kar dete hai. to is samsya se hamesha kai liye nijat payi ja skti hai.

SCREEN BLACKOUT HONA

kuch nougat user ko screen blackout ki samasya ka samna karna pd rha hai. achanak se phone ki screen blackout ho jati hai. is samasya mai phone kabhi restart ho jta hai, lekin kabhi kabhi desplay wapis ata hi nhi. ese mai sabse phele phone ko off kar de. iske baad use on kare. yadi phone on hota hai to data backup lekar factory data reset kar de. yadi desplay on nhi hotahai, to hardboot kare.Iske liye aapko phine ko recovery mode mai dalna hoga. fir phone ko reboot kar de. samasya ka samadhan ho jayega.

Umeed hai aapko pta chal gya hoga ki aapke nougat android system mai kha problem hai. Agar aapko koi problem ho to neeche comment kare aur agar aapko ye post accha lage to apne friends kai sath jarur share kare

Thankyou.

No comments:

Post a Comment