Send money with whatsapp:-
Hello friends, Desh mai digital payment system mai whatsapp ka naam bhi jud gya hai. Ab user whatsapp ki madad se bhi paise ka len-den kar skenge Send Money with whatsapp. Desh mai abhi whatsapp kai kareeb 20 crorw mashik user hai. , Jinke liye digital payment karna asan ho jayega. Yeh payment system UPI par aadharit hai. Isliye payment sidha bank mai transfer honge. User chatbox mai jakar paise bhej skenge is payment system mai SBI, PNB, ILAHABAD BANK, ICICI, HDFC, AXIS BANK, kareeb 70 bank ka support hai.Kaise hasil kare whatsapp pe
Halaki abHi whatsapp pe chuninda users kai liye hi jari kiya gya hai. Agar abhi aapke whatsapp mai payment ka option nhi dekhai de rha hai, to sabse phele whatsapp ko update kar le. Android kai liye payment ka feature whatsapp kai 2.18.41 version par milega . IOS user kai liye yeh 2.18.22 version par uplabdh hai. Upgrade karne kai baad whatsapp ki setting mai notification kai neeche payment ka option dekhai dega. Iske alawa chatbox mai jaker kisi contact mai attachment par tap karenge, toh wha payment ka option dekhai dega. Aap yha se bhi payment kar payenge. Agar whatsapp ko update karne kai baad bhi payment kai option nhi dekhai de rha to appke jin friend ka pass yeh feature a chuka hai, unhe invite kai jariye yeh feature hasil kar skte hai. Filhal yeh feature mobile user kai liye uplabdh hai. Whatsapp web users is feature ka istmal nhi kar skte.
Active kare whatsapp payment
- Sabse phele apne whatsapp account ko open kare. Fir dahini taraf top mai 3 dot dekhai denge, us par click karne kai baad payment option par jaye . Payment option notification kai thek neeche dekhai dega
- Payment option par click karne kai baad next screen '''cept and continue' par tap kare. Uske baad yha mms kai jariye no. Verify kai liye pucha jayega. Uspar tap karne kai baad aap ko mms send karne kai liye anumati deni hogi. Jaise hi no. Verify ho jayega , uske baad aap yaha bank ki list dekh payenge. Agar aapke bank se UPI option attavh hai, to mms kai jariye agla step aayega. Agar UPI account link nhi hai to user ko UPI pin generate karna hoga.
- Yaha par banko kai name dekhai denge jis bank ko whatsapp kai sath jodna cahate hai us par click kare. Yaha par bamk account kai last four digit show karega. Us par tap karne kai baad agar sare step thik rhte hai to fir setup pura hone ka message dekhai dega.
- UPI kai liye jaruri hai ki jis no. Par whatsapp chal rha hai, wah no. Bank account se link ho
- Agar aapke pass multiple bank account hai to is process ko repeat kar yaha jod skte hai isme se ek ko aap primary account kai toor pe set kar skte hai
Kaise bheje paise
Abhi whatsapp par aap tabhi bhej payenge, jab bheje jane wale mobile mai bhi whatsapp payment activate ho. Agar family or friends kai pass setup nHi hai , to unhe guide bhi kar skte hai. Yaha aap indivisual member ko paisa bhej payenge kyouki personal to personal Bi paisa bheja ja askta hai. Isliye aap verified bussiness account {bookmyshow, makemytrip} ko abhi payment nhi kar payenge
- Jis whatsapp contact ko paisa bhejna chate hai , uska chat open kare.
- Agar aap android user hai, to fir attach button kai istmal kare, agar iphone user hai to fir plus button ka tap kare
- Paise bhejne kai liye bas payment button par tap kare, bank account ko chunkar amount dale aur UPI pin bharkar send par click kar de. Aap cahe to iske sath note bhi likh kar bhej skte hai . Is tarah whatsapp se paise bhej payenge aur le bhi skte hai.
- Whatsapp payment history mai yeh bhi jan payenge ki jaha aapne paise bheja tah, wha pahucha hai ya nhi. Sath hi, yeh featur parapt karne wale aur bhejne wale Ko notification kai jariye paise aane , jane kai bare mai update bhi karega
Thankyou
No comments:
Post a Comment