Kaise kare light photography
HHllo friends ,agar aap night photo lena cahate hai
To aap kaise kare light photography yeh blog aapki help karega.
Kya aap bhi subhe- subhe college jane se phele ek selfie lete hai. Aapne khile - khile chere ko dekkhkar aap aur bhi cahak utthe hai. Par sham hote hi fir selfie lete hai aur use dekkhkar aapka cehra murjha jata hai. Char- pach koshish kai bawjud manmutabik photo nhi le pate aur phone kai camera ko koshna suru kar dete hai. Aapko bta de yeh sirf phone ki kami nhi hai, balki kam roshni mai jyadatar camero ki yahi hall hota hai. Halaki aajkal company ko light photography par wishesh jor dete hai bawjud iske ab tak behtar parinam dekhne ko mila nhi , parantu kuch tricks hai, jinki madad se aachi photography kar skte hai.
Camera rkhe ek jagah
Aapko malum hoa cahiye ki photo roshni se taiyaar hota gai aur sham ya rat ko roshni kam ho jati hai. Isi karan photo pixel hote hai ya usme dot dekhai dete hai. Kam roshNi kai dorran jab aap photo mode mai photography karte hai, to satar speed khud hi dheeme ho jata hai, taki jyada se jyada roshNi camere mai ja ske, lekin dheeme satar speed mai hath hilne ka dar hota hai. Isse photo kharab ya blur ho jata hai. Isliye camere ko ek jagah rakhna jaruri hai. Low light mai photography mai hath ko jitna ek jagah rakhoge, utna begtar hoga. Yadi phone mai image stabilization ka option hai, to uska upyog jarur kare.
Focus Lock
Aaj jab aap kisi phone se phoyography karte hai, to cehra dekhkar wah khud hi focus kar leta hai. Yeh auto focus or face deduction ka kamal hai. Par raat hote hi focus out hone lgta hai. Ese mai koshish kare ki jiski taswir leni hai uspe sawdhani se focus kiya jaye. Halaki sabse behtar hoga ki aap focus ko lock kar de. Photography kai dorran screen par kuch deer touch karke rakhenge, to focus lock ho jayega aur photography behtar ho skhegi.
Manual Setting
Auto mode mai photography kai dorran camera khud hi colour balance adjust karta hai, lekin photography ki thodi bhi jankari hai, to manual mode ka sahara le. Low light mai photography kai dorran satar speed ko dheema kar ISO ko badakar aachi taswir le skte hai. Parantu yad rhe ki is setting kai sath camera ka sath subject ko bhi ek jagah rakhna hoga.
HDR
HDR ko high dynamic range kai name se jana jata hai. Is mode mai camera teen photo leta hai. Overexposed, underexposed aur balanced. In teeno ko milakar camera best photo tayar karta hai, jisme pixel kafi majbut ho jate hai. Aur nayag kam aata hai. Is liye low light photography mai iska upyog kafi madadgar ho skta hai. Halaki itna jarur yad rkhe ki picture click karne kai doran camera jarur sithar ho . Trypod mai camera set kar is featur ka upyog karenge , to jyada behtar photo aayegi.
I hope ye post aapko accha laga hoga kyoki har koi sochta hai ki uski photo night mai bhi acchi aye. Agarr appko ye post accha aur helpfull lga to necche comment section mai bataye aur share bhi kare apne friends kai sath
Thankyou.
I hope ye post aapko accha laga hoga kyoki har koi sochta hai ki uski photo night mai bhi acchi aye. Agarr appko ye post accha aur helpfull lga to necche comment section mai bataye aur share bhi kare apne friends kai sath
Thankyou.
No comments:
Post a Comment