Best Android tricks and tips

Android tricks and tips

Saturday, 10 February 2018

Android mobile ko computer kaise banaye ?

Android mobile ko computer kaise banaye ?


Hi friends, mai Vishal Rawat aaj main aapke sath ek usefull trick share kar raha hu jiski help se aap apne Android mobile ko computer ki tarah use kar sakte hai. Aapke phone ki screen bilkul desktop screen ki tarah dikhayi degi.

Dosto iske liye aapko sirf window Launcher app apne phone me install karna hai or iske baad aapke phone ka system bilkul computer desktop ki tarah kaam karega. Dosto actually ye ek theme app hai isko use karne se aapke phone ka look bilkul window 7 ki tarah ho jata hai lekin aap apne phone me computer ke software nahi use kar sakte.

Android mobile me window 7 kaise use kare ?

Dosto ye trick bahut easy hai aapko sirf mere bataye instructions ko follow karna hai.

Step 1. Sabse pahle niche diye link se Window launcher  app download kare.

Download App 

(Important Note : is app ko sirf aap hamare link se hi download kar sakte ho kyonki abhi Google playstore par available nahi hai.)

Step 2. App download karne ke baad isko apne phone me install karna hai. Is app ko install karne ke liye apne phone ki setting me jaiye or Unknown source ke option par click karke usko ONkar dijiye.

Step 3. Jab ye app puri tarah install ho jaye to isko open kijiye or open karte hi aapka phone computer desktop ki tarah dikhayi dega.

Congratulations !
Ab aap mobile ko computer desktop ki tarah use kar sakte ho

Dosto dekha ham ne kitne easy tarike se phone ko desktop computer ki tarah bana diya. I hope aapko hamara ye post pasand aaya hoga aapko ye post usefull laga ho to niche diye buttons par click karke isko social sites par share karna na bhule.
Agar aap hamse koi question puchna chahte hai to comment karke hame jarur bataye ham aapki puri help karenge.



Thankyou Readers…….

No comments:

Post a Comment