Virtual Payment Address Kya Hai Aur Kaise Banaye ?
Hello friend, mai Vishal Rawat aaj aapko batunga Virtual Payment Address kya Hota hai, VPA Full Form in Hindi , VPA Meaning in Hindi Friends ab sab kaam online ho raha hai to kya esaa ho sakta hai ki aap online second me kisi ko payment kar paye and kisi se bhi payment received kar paye. Yes essa ab possible haiAap ab upi app ka use karke kisi bhi virtual address par money send kar sakte hai Aur kisi se bhi bhi apne virtual payment address par money received kar sakte hai. But virtual Payment address kya hota hai Aur isse kaise banate hai ye bhut kam log jante hai.
What is VPA ( Virtual Payment Address) in Hindi
Vpa jisse virtual payment address bhi bolte hai ye ek essi id hoti hai jisspe aap kisi se bhi money received Kar sakte hai. Aur kisi ke virtual Payment address par money send bhi kar sakte hai. Pahle aapko kisi se bhi money Received karne ke liye usse apni bank detail jaise bank account number , account name, IFSC code etc dena hota tha
But ab aapko only apna Virtual address dena hota hai Aur issi se koi bhi aapko money send kar sakta hai. VPA aapke bank account address ki tarah work karta hai.
Difference Between UPi & VPA In Hindi
Dosto upi jisse unified payment interface bhi bolte hai digital transaction karne ka bhut hi fast method hai. UPI ka use karke aap apne bank account se kisi ke bhi bank account me ya kisi ko bhi money transfer kar sakte hai.
Ab Almost sabhi banks upi enabled hai yani aapka account jis bhi bank me ho aapko uska upi apne phone me download karna hoga and fir aap usse apne bank ko connected easily fund transfer and received kar payege.
Ab baat aati hai ki vpa kya hota hai. To friends aap upi app se jab apna bank account connect karte hai to aapko virtual payment address choose karne ka option bhi milta hai ye aapki email id ki tarah dikhta hai aur aap isse apne hisab se edit bhi kar sakte hai
aap jabhi bhi kisi se payment received karna chahate hai to apne iss virtual address ka use kar sakte hai.
Virtual Payment Address Example –
Vpa jaisa ki maine aapko bataya ki ye aapke name ya email id hi tarah show karta hai. Jaise –
Vishal@Icic, Vishal@Psb etc
Virtual Payment Address Kaise Banate Hai Puri Jankari Hindi Me
Virtual address create karne ke liye bhut si upi apps available hai jaise bhim upi , Phone pay etc but agar aapko apni bank ki upi app se virtual payment address create karna hai to ussi ke bare me main batane wala hu
Sabse pahle aapka jis bhi bank me account uski upi app ko apne phone me download kare isske liye google play store aapki bank ka name Aur uske aage upi likhkar search kare Jaise agar aapka account sbi bank me hai to google play me Sbi upi likhkar search kare. Ab aapko apne bank ke bhim upi app dikhne lagegi uspar click karke usse download karle.
Ab apni bank ki upi app download and install karne ke baad open kare.
Note – Aap upi ko tabhi use kar sakte hai jab aapka bank registered number wala sim aapke phone me ho Aur payment transfer karne ke liye debit card ( ATM) hona bhi jarurihai.
Ab friends agar aapka mobile dual sim wala hai to yaha aapse sim select karne ke liye bola jayega aapka jis bhi sim ka number bank se registered vo sim choose kare.
And fir processing chalne lagegi processing complete hone ke baad verification process ho jayega and fir aapko yaha virtual address dalne ka option mil jayega yaha aap apna koi bhi virtual address daal sakte hai.
Fir yaha aapko apni kuch information fill karni hogi jaise security question , state etc.
Uske baad yaha aapko upi id create karne ka option milega. Uspar click karke aap apni upi id create kar sakte hai. Jissme aapko apni debit card yani atm card ki detail fill karna hota hai.
Iss tarah sabhi step ko follow karke aap easily apni bank related koi app me register kar sakte hai.
Important – Friends sabhi bank ki upi me register karne ke alag alag option rahte hai and kuch bank ke upi app me jo option stating me rahte hai vo kuch me end me rahte hai issliye ho sakta hai ki aapki bank ki upi app me alag option ho but aap usse bhi aap easily bank se connect kar sakte hai kyoki aapko only phone number , debut card , m pin etc ka hi use karna hota hai.
Friends Virtual Payment Address Kya Hai , VPA meaning In Hindi , What is VPA Full Detail In Hindi wala ye article aapko agar accha laga and aapke liye liye useful raha to isse apne other friends ke sath social networking sites par share jarur kare Aur iss article me aapko kuch samajh na aaya ho ya Virtual address se related koi question hai to comment karke jarur bataye.
Thankyou.
No comments:
Post a Comment