Pendrive Se Deleted Data Recover Kaise Kare
Hello friends, Kya aapke kisi Pendrive, Memory card, camera chip, ya kisi bhi external sd card se koi important data delete ho gya hai, Guys aaj me aapko ek ese trick bataunga jisse aap aasani se apne kisi bhi data ko recover kar sakte hai. like: (text, images, videos, audio & more..)
Agar kisi ne aapki pendrive ko format kar diya hai, to apne usb pendrive par password lagakar aap apne pendrive ko secure kar sakte hai. but agar kisi or wajah se aapka imp data delete ho gya hai, to bhi aap usko aasani se recover kar sakte hai.
Pendrive Se Deleted Data Recover Kaise Kare?
Pendrive se deleted data ko recover karne ke liye simply neeche bataye gye steps ko carefully follow kare.
Step1: Sabse phele apne computer me Stellar Phoenix Data Recovery software ko download karke install kar le.
Step2: Stellar Phoenix Data Recovery software ko download & install karne ke baad usko open kare, or simply next par click kare.
Step3: Ab apni USB Pendrive ko choose kare, or sacn par click kare.
Step4: Ab aapki pendrive ka deleted data scan hona start ho jyega.
Step5: Ab kuch time me aapki Pendrive ki scanning finish ho jayegi. or aapka all deleted data aapko show ho jayega.
Step6: Ab Turn Off Preview ko On kare, or aap jis_jis data ko recover karna chate hai, usko mark kar le.
Step7: Ab apne Data ko select karne ke baad Recover par click kare.
Note: Aap sirf 1GB ka Data he free me recover kar sakte hai, agar aap 1GB se jyada data recover karna chate hai, to uske liye aapko eske PRO version ko buy karna hoga.
Step8: Agar aap 1GB se kam data recover kar rhe hai, to Upgrade later par click karke apne data ko aasani se recover kar sakte hai.
to Guys es trha aap apne kisi bhi pendrive
or kisi bhi sd card / chip se deleted data ko bhut he aasani se recover kar sakte hai. agar aapko data recover karne me koi problem ho rhi ho to aap comment me puch sakte hai or aapko post pasand aaya hai to apne friends kai sath share jarur kare.
Thank for Reading.
No comments:
Post a Comment