Best Android tricks and tips

Android tricks and tips

Wednesday 7 February 2018

Amazon Se Paise Kaise Kamaye

Amazon Se Paise Kaise Kamaye


Hello, Friends aajke is post ka topic hai amazon affiliate marketing karke online paise kaise kamaye. dosto aagar aap online se paise kamane ki man banalo to aap jarur internet se paise kama sakoge lekin aapko thoda bahut mehenat karna hoga, kyu ki mehenat ke bina aabhi koi aap ko free me paise nahi dega. is post se pahle main online paise kaise kamaye is bareme bahut sare post kiya hai aap Make Money ke sabhi post ko follow kare aap ko pata chal jayega. online earning ki jitna bhi best tips hai unme se affiliate marketing sabse accha hai lekin iske liye pehle aap affiliate marketing karna sikhna hoga nahi to aap jada fayda nahi kar sakoge.

Main aaj aapko is post me full guide to nahi de paunga but koi sis karunga jitna ho sake. dosto aap to jante hi ki Amazon ek e-commerce website hai aur ye online market hai har koi is site se mobile, laptop,tv kuch bhi online order karke kharid te hai, Aabhi sawal hai is se paise kaise kamaye aapne thik socha, dosto aap jarur paise kama sakoge wo bhi amazon ke product sell karke. to chaliye dekhte hai.

Amazon Se Paise Kaise Kamaye ?

Sochiye aapka ek website hai yafir aape koi facebook page hai jisme hajaro lakho fans hai aabhi aap Amzon ke kisi bhi product ko aapne websit ya aapne facebook fan page par share karna hoga jab koi bhi aapke share kiya product ko kharide ga tab aapko ek % milega. Lekin iske liye aapko pehle amazon affiliate par jakar ek account karna hoga aur jab bhi koi product sell karna hoga tab affiliate link banakar share karna hoga tab bhi aapko paise milega. Dosto ye utna asan bhi nahi aur utna muskil bhi nahi but main pehle hi bata diya aapko hard work karna hoga.


Kya Kya Jarurat hai Aamazon Affiliate Karne Ke Liye ?


1. Ek website ya blog site

2. Facebook Fan Page Jisme bahut sare Like Hai.

3. Aap Youtube Channel Se Bhi kar sakte ho.

4. Aap Whatsapp Group Se bhi kar sakte.


Dosto jaise ki main bata diya ki aapko kya kya jarurat hoga amazon se paise kamane ke liye, aagar aapko website banana nahi ata to aap facebook, youtube channel, whatsapp group kisi bhi social site ko use karke bhi amazon affiliate karke paise kama sakoge. Lekin sab se accha hoga aagar aap amazon ko target karke ek website banaye. aagar aap facebook fan page se amazon affiliate karna chahate hai to aapko kuch aisa fan page banana hoga jisme aapko product sell karke fayda ho kyuki koibhi fan page se fayda nahi hoga. jobhi ho chaliye dekhte hai Amazon affiliate par account kaise banate hai aur product ko search kaise kare link share kaise karte hai.


Amazon affiliate Par Account Kaise Banaye ?


Step 1. Pehle aapko jana hoga "affiliate-program.amazon.in" is link par uske bad, Join Now for Free par click kare.

Step 2. Aabhi jo page open hoga usme se aap E-mail par aapke email id add kare, "I am a new customer" option ko select kare uske bad "Sign in using our server" par click kare.

Step 3. Upar sab kuch thik se karne ke bad aur ek page open hoga usme se aap just aapna Name, aapke Email id uske bad ek Password dal na hoga uske bad "Create account" par click karke account karna hoga.

Step 4. Aabhi aur bhi kuch step ayega jisme aapke naam, email, password dalna hoga uske bad account ko full karlena hai.

Step 5. Dosto main man leta hu aapne account banale hai aabhi aapko amazon product link make karna hoga uske liye aap amazon account ko login kare uske bad aap jiss product ko sell karna chahat hai us product ka naam type kare aur search kare.
Step 6. Main jaise ke Samsung J7 search kiya aur main chahata hu is mobile phone ko sell karunga to aap iska link copy karunga to uske liye aap right side se "Get Link" par click karke link copy karna hai uske bad aapne facebook, website, youtube channel jaha aap share karna chahate ho link share kare.

Dosto link share karne ke bad aapko tab paise milega jab aapke share kiya link par koi click karke koi product buy karege, aagar koi nahi kharide ga to aapko ek bhi paise nahi milega.

Main pehle hi bata diya hai ki ye bahut muskil kam nahi aur utna easy bhi nahi hai, aabhi aapko sikhna hoga ki kaise jada product sell kar karte hai, uske liye aapko google ka madad lena hoga kyuki ye aagar aapko sikha na hai to ekdin kam kan nahi bahut time dekar aapko sikhna hoga.

To dosto main ummid karta hu ki aapko post se thoda bhi jankari mila hai ki amazon se kaise paise kaise kamate hai. main janta hu jo new hai unko utna samaj nahi aya but kmain koisis kiya samjha ne ke aap affiliate marketing sikhte jaye aapko sab kuch samaj ajayega.

Aagar aapko post pasad ata hai to post aapne friends ke sath facebook, twitter, google+ kisi bhi social site par share kare, aagar kuch samajne me problem hoti hai to niche comment kare main help karunga.

Thankyou for reading....

No comments:

Post a Comment